ye jo har shai mein teri jalwagari hai ai dost ye bhi meri wasi-un-nazari hai ai dost khanda-e-gul hai jo zakhm-e-jigari hai ai dost mauj-e-gham mauj-e-nasim-sahari hai ai dost teri firdaus-khayali ho mubarak tujh ko meri jannat mere daman ki tari hai ai dost kya samae gham-e-insan nigah-e-insan mein arsh-paimai bhi fahm-bashari hai ai dost mujh ko aata hai musibat mein ghazal-khwan hona meri mearaj meri be-hunari hai ai dost jis ko kahte hain teri yaad mein gum ho jaana wo bhi ek silsila-e-ba-khabri hai ai dost tod kar mujh ko zara aaina-e-qalb hazar kitna majbur fan-e-shisha-gari hai ai dost