aansuon ko na sazawar-e-malamat samjho

aansuon ko na sazawar-e-malamat samjho
in charaghon ko shab-e-gham ki zarurat samjho

kaun jaane kise phir ghar ki ho dahliz nasib
aaj-kal ghar se nikalne ko bhi hijrat samjho

jazba-e-ishq nahin harf-o-bayan ka muhtaj
meri khamoshi ko izhaar-e-mohabbat samjho

dastan fasl-e-bahaaran ki sunane walo
jeb-o-daman pe likhi hai jo ibarat samjho

be-hisi sang-dili zulm baghawat nafrat
aise haalat ko aasar-e-qayamat samjho

ahl-e-zar sun nahin sakte kabhi aawaz-e-fughan
in khuda-wandon ko mahrum-e-samaat samjho

raaz-e-hasti se bhi uth jaenge sare parde
pahle ek zarra-e-khaki ki haqiqat samjho

zindagi ki hi alamat hai dhdakna dil ka
dard ko fitrat-e-insan ki amanat samjho

ajnabi shahr ki begana fazaon mein 'siraj'
koi pahchan le tum ko to ghanimat samjho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close