bhula dena na ahl-e-dil ko tum jashn-e-bahaaran mein

bhula dena na ahl-e-dil ko tum jashn-e-bahaaran mein
ki un ka khun bhi shamil hai tamir-e-gulistan mein

abhi to shahr se lae the un ko iltija karke
pahunch jaen na diwane kahin phir se bayaban mein

hui jati hai kyon madum ranai bahaaron ki
banai hai khizan ne rahguzar shahr-e-nigaran mein

mahal khwabon ke girte ja rahe hain yurish-e-gham se
mohabbat ki kami mahsus hoti hai dil-o-jaan mein

zara sa farq jab shahr-o-bayaban mein nahin baqi
to phir ye ajnabiyyat si hai kyon dast-o-gareban mein

dil-e-kaj-fahm kab samjhega haalat-e-zabun aakhir
sukun ki raushni milti nahin zehn-e-pareshan mein

'siraj' us ko nahin barbaadi-e-gulshan ka gham koi
koi tabdili shayad ho gai chashm-e-nigahban mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close