aansuon ko raushnai kar raha hun is zamana se ladai kar raha hun koi chaaragar nahin hai aaj mera har maraz ki khud dawai kar raha hun ek nanhe se diye ki raushni le main andheron se ladai kar raha hun main burai kar raha hun aap ki ya main hi khud apni burai kar raha hun kal se bounga sunahre khwab in mein aaj aankhon ki safai kar raha hun