aisa lamha udhaar de koi jis mein sadiyan guzar de koi baad muddat ke khat likhe wo mujhe aur kabutar ko mar de koi ye jo sardar ban ke baitha hai us ki pagdi utar de koi mast rakkhe jo hosh mein bhi mujhe ab to aisa khumar de koi kya khabar hadsati duniya mein kab kahan mujh ko mar de koi ek wada ki jis ke sae mein umr sari guzar de koi dasht ko ghar bana ke baitha hun is ko aa kar sanwar de koi