aansuon ne bhi to kar di hai taraf-dari dekh mujhe mat dekh meri aankh ki dushwari dekh sham dhalte hi charaghon ki tarah jalti hain yani bas aankh nahin aankh ki bedari dekh main tere hijr mein hansta hun to hairat kaisi mujhe mat dekh meri jaan ada-kari dekh main ne alfaz baratne mein lahu kharch kiya ab tera farz hai tu sher ki tahdari dekh mere honton ke tabassum se na andaza laga kis qadar mathe pe rakkhi hai shikan bhaari dekh tere chhune se meri nabz bhi ruk jati hai aa mujhe hath laga aur kala-kari dekh tere kahne ke sabab socha na manzil ke tain ghar se nikla to abhi tak hai safar jari dekh