aansuon se hai libas apna ye tar dekh liya kaisa hota hai mohabbat ka safar dekh liya tum bhi un ke hi diwanon mein gine jaoge un ki surat ko agar ek nazar dekh liya muflisi teri inayat hai ye tera hai karam jo na dekha tha kabhi aaj wo dar dekh liya hum kahin aur bhi dil apna laga lete magar koi tum sa na mila sara nagar dekh liya rah mushkil thi par aasan hui jati thi main ne man teri duaon ka asar dekh liya meri taswir ko sine se lagate ho tum socho kya hoga zamane ne agar dekh liya dosti ka meri anjam na jaane kya ho aaj us ne mera tuta hua ghar dekh liya ghair ka nam hatheli pe likha hai teri main nahin hun tera manzur-e-nazar dekh liya haal-e-bad mein bhi 'faraaz' us ne na puchha hum ko kitni rakhta hai hamari wo khabar dekh liya