khizan ki zad mein gul-e-tar hai kya kiya jae yahi chaman ka muqaddar hai kya kiya jae dil-o-nigah ko jis se sukun mayassar tha lahu lahu wahi manzar hai kya kiya jae buland-o-past ka har imtiyaz be-mani ajib waqt ka tewar hai kya kiya jae khuda ka shukr hai jis haal mein guzar jae ek intishaar to ghar ghar hai kya kiya jae zaban se phul baraste hain guftugu aisi aur aastinon mein khanjar hai kya kiya jae jo apni zat ki tarikiyon mein gum hai abhi wo subh-e-nau ka payambar hai kya kiya jae kahan talak koi parkhe ki ab ba-surat-e-khair qadam qadam pe ajab shar hai kya kiya jae kahan ka jazba-e-hubb-e-watan kahan ka khulus bas eqtidar ka chakkar hai kya kiya jae qadam qadam pe hai ghaugha-e-bartari ka junun har ek ek se badh kar hai kya kiya jae jo gul-ba-dast the 'fakhir' kabhi hamare liye unhin ke hath mein patthar hai kya kiya jae