aansuon se khun ke ajza badalte jaenge dil ke sab arman aankhon se nikalte jaenge ek qayamat hai ibarat wada-e-didar ki din guzarte jaenge mani badalte jaenge har nafas hai shamma-e-gham ka shola main jo kuchh kahun misl-e-parwana mere alfaz jalte jaenge hai digar-gun haal-e-dil qasid hamein bhi sath le ja-ba-ja khat ki ibarat hum badalte jaenge ishq ki wadi mein 'natiq' gir ke marna hai zarur har qadam pe kab tak aakhir hum sambhalte jaenge