aao ab mil ke gulistan ko gulsitan kar den har gul-o-lala ko raqsan o ghazal-khwan kar den aql hai fitna-e-bedar sula den is ko ishq ki jins-e-giran-maya ko arzan kar den dast-e-wahshat mein ye apna hi gareban kab tak khatm ab silsila-e-chaak-e-gareban kar den khun-e-adam pe koi harf na aane pae jinhen insan nahin kahte unhen insan kar den daman-e-khak pe ye khun ke chhinte kab tak inhin chhinton ko bahisht-e-gul-o-raihan kar den mah o anjum bhi hon sharminda-e-tanwir 'majaz' dasht-e-zulmat mein ek aisa charaghan kar den