ajab surur mila hai mujhe dua kar ke ki muskuraya khuda bhi sitara wa kar ke gada-gadi bhi ek uslub-e-fan hai jab main ne usi ko mang liya us se iltija kar ke shab-e-firaq ke har jabr ko shikast hui ki main ne subh to kar li khuda khuda kar ke ye soch kar ki kabhi to jawab aaega main us ke dar pe khada rah gaya sada kar ke ye chaara-gar hain ki ek ijtima-e-bad-zauqan wo mujh ko dekhen teri zat se juda kar ke khuda bhi un ko na bakhshe to lutf aa jae jo apne-ap se sharminda hun khata kar ke khud apni zat pe to e'timad pukhta hua 'nadim' yun to mujhe kya mila wafa kar ke