aao dekhen ahl-e-wafa ki hoti hai tauqir kahan kis mahfil ka nam hai maqtal khinchti hai shamshir kahan chhut na paoge dil walo chahat ke is zindan se chaho to dil tut bhi jaen tutegi zanjir kahan chashm-e-sahar mein aas umid kya aansu ki ek bund nahin yun daman phailae chale hain raaton ke rahgir kahan sadiyon ke pahchane khwabon se bojhal in aankhon ko anjaane khwabon ke shahr mein le aai tabir kahan ek virana ek shajar kuchh sae do pyasi aankhen dekhen sajegi din ke makan mein raat ki ye taswir kahan waqt ka dariya le bhi gaya wo sab jo dil-o-jaan se tha aziz dhundh rahe ho sahil par ab aansu ki tahrir kahan