kisi surat bhi nind aati nahin main kaise so jaun koi shai dil ko bahlati nahin main kaise so jaun akela pa ke mujh ko yaad un ki aa to jati hai magar phir laut kar jati nahin main kaise so jaun jo khwabon mein mere aa kar tasalli mujh ko deti thi wo surat ab nazar aati nahin main kaise so jaun tumhin to ho shab-e-gham mein jo mera sath dete ho sitaro tum ko nind aati nahin main kaise so jaun jise apna samajhna tha wo aankh ab apni dushman hai ki ye rone se baz aati nahin main kaise so jaun teri taswir jo tute hue dil ka sahaara thi nazar wo saf ab aati nahin main kaise so jaun ghata jo dil se uthti hai mizha tak aa to jati hai magar aankh us ko barsati nahin main kaise so jaun sitare ye khabar lae ki ab wo bhi pareshan hain suna hai un ko nind aati nahin main kaise so jaun