aao kabhu to pas hamare bhi naz se karna suluk khub hai ahl-e-niyaz se phirte ho kya darakhton ke sae mein dur dur kar lo muwafaqat kisu be-barg-o-saz se hijran mein us ke zindagi karna bhala na tha kotahi jo na howe ye umr-e-daraaz se manind-e-subha uqde na dil ke kabhu khule ji apna kyun ki uchte na roze namaz se karta hai chhed chhed hamara jigar tamam wo dekhna tera mizha-e-nim-baz se dil par ho ikhtiyar to hargiz na kariye ishq parhez kariye is maraz-e-jaan-gudaz se aage bichha ke nata ko late the tegh o tasht karte the yani khun to ek imtiyaz se mane hon kyun ki girya-e-khunin ke ishq mein hai rabt-e-khas chashm ko ifsha-e-raaz se shayad sharab-khane mein shab ko rahe the 'mir' khele tha ek mughbacha mohr-e-namaz se