khirqa-poshi mein khud-numai hai hath bas kasa-e-gadai hai boriya bhi nahin use darkar jis ke tain shauq-e-be-riyai hai gul sab hanste hain bazm-e-gulshan mein ishq-e-bulbul magar riyai hai jald jati hai aasman upar aah meri ajab hawai hai sham-e-mina ke nur sun saqi mahfil dil mein raushnai hai har ghadi dekhta hai darpan kun shokh mein tarz-e-khud-numai hai jab sun dekha hun us ki zulf-e-daraaz tab sun mujh fikr mein rasai hai kan u dekha hai khwab mein makhmal tujh kaf-e-pa mein jo safai hai kyun na hue mah-e-nau misal-e-aziz jis mane rasm-e-kam-numai hai dast-e-gul-ru mein pahunchne 'daud' kaghaz-e-khat mera hinai hai