aao na mujh mein utar jao ghazal hone tak tum zara aur nikhar jao ghazal hone tak meri khatir hi thahar jao ghazal hone tak aarzu hai ki na ghar jao ghazal hone tak tum agar chaho to har sher shagufta ho jae bas mere dil mein utar jao ghazal hone tak chand ban kar meri shohrat mein ujala kar do raushni ban ke bikhar jao ghazal hone tak meri jaanib se ijazat hai chale jao magar dil ba-zid hai to thahar jao ghazal hone tak meri aankhon se mere dil mein pahunch kar tum bhi dil ki dhadkan mein utar jao ghazal hone tak kash sab rang ke hun aaj mere sab ashaar rang har lafz mein bhar jao ghazal hone tak mere fan se tumhein be-laus mohabbat hai agar meri rag rag mein utar jao ghazal hone tak sher kahne ka saliqa bhi sikha do mujh ko aaj ye kaam bhi kar jao ghazal hone tak shairi mein jo hai rutbe ki tamanna 'rumi' fikr ki tah mein utar jao ghazal hone tak