main yun to nahin hai ki mohabbat mein nahin tha albatta kabhi itni musibat mein nahin tha asbab to paida bhi hue the magar ab ke us shokh se milna meri qismat mein nahin tha tai main ne kiya din ka safar jis ki hawas mein dekha to wahi raat ki dawat mein nahin tha ek lahar thi ghaeb thi jo tufan-e-hawa se ek lafz tha jo khat ki ibarat mein nahin tha kaifiyaten sari thin faqat hijr tak us ke main samne aa kar kisi haalat mein nahin tha kya rang the lahrae the jo rah-rawi mein kya nur tha jo sham-e-hidayat mein nahin tha laghzish hui kuchh mujh se bhi tughyan-e-talab mein kuchh wo bhi 'zafar' apni tabiat mein nahin tha