aao phir garmi dayar-e-ishq mein paida karen tur ki mitti se takhliq-e-yad-e-baiza karen husn mein ho ishq ki bu ishq mein ho rang-e-husn phir murattab rang-o-bu-e-nau se ek duniya karen jitne naghme ho chuke hain gum faza-e-dahr mein un ko phir aawaz den ek saz mein yakja karen mil chuke hain khak mein jo tut kar phulon ke jam un ko dast-e-shakh mein phir saghar-o-mina karen zindagi do din ki us par ye jahan-ijadiyan ehtimam itna karen 'simab' aur phir kya karen