bahte pani ki tarah mauj-e-sada ki surat su-e-manzil hain rawan log hawa ki surat jada-e-zist pe insan ke aage pichhe hadse ghumte rahte hain qaza ki surat dard ko dil ke mitane ke liye main ab to roz leta hun tera nam dawa ki surat yaad rakh dahr ki diwar ke hatne par hi dekh sakti hai koi aankh khuda ki surat hashr ke roz se pahle bhi to main dawar-e-hashr zindagi kat ke aaya hun saza ki surat khoj is daur-e-kharabi mein koi khubi 'soz' nasl-e-adam ke liye koi baqa ki surat