aao taqdir ko tadbir bana kar dekhen in andheron ko ujalon se mila kar dekhen aaj zalim ko bhi majbur bana kar dekhen hashr se pahle hi ek hashr utha kar dekhen in buton se to koi kaam na nikla apna khair ab yunhi sahi yaad-e-khuda kar dekhen chand-taron mein jo aabaad hue jate hain wo kisi dil mein bhi ghar apna bana kar dekhen kaun apna hai yahan kaun hai begana 'ziya' dhajjiyan hum bhi to daman ki uda kar dekhen