main jis ka muntazir hun wo manzar pukar le shayad nikal ke jism se bahar pukar le main le raha hun jaeza har ek lahar ka kya jaane kab ye mujh ko samundar pukar le sadiyon ke darmiyan hun main bhi to ek sadi ek bar mujh ko apna samajh kar pukar le main phir raha hun shahr mein sadkon pe ghaaliban aawaz de ke mujh ko mera ghar pukar le shishe ki tarah waqt ke hathon mein hun hanuz kab jaane hadsat ka patthar pukar le wo lamha jis ki zehn-e-'saba' ko talash hai rone ke ehtimam mein hans kar pukar le