aao ye khamoshi toden aaine se baat karen thodi hairat aankh mein bhar len thodi si khairaat karen hijr o visal ke rang the jitne tariki mein dub gae tanhai ke manzar mein ab kaun sa kar-e-hayat karen dekho is ke baad aaegi aur andheri kali raat dhup ke in tukdon ko chun len jama yahi zarraat karen pyason ke jhurmut mein hain aur itna soch rahe hain hum aankhon ke is bojhal-pan ko kaise nahr-e-furaat karen pani pani kahne wale dariya dariya dub gae kis munh se sahil walon se tishna-labi ki baat karen