dam-ba-dam taghayyur ke rang hain zamane mein kuchh kami nahin aati dard ke khazane mein ghair ki shikayat kya shauq-e-lazzat-e-gham se main bhi ho gaya shamil apna dil dukhane mein mere chaar jaanib the khar-zar nafrat ke umr kat gai meri rasta banane mein waqt ne un aankhon ke khwab hi badal dale der ho gai tujh ko mere pas aane mein chikhte the ham-sae ek ajib lazzat thi dhup mein khade ho kar aaina dikhane mein taeron ko aisi bhi kya thi ujlat-e-parwaz bhul kar chale aae khwab aashiyane mein thi hawa bhi shorida hath bhi the larzida ungliyan jala dalin ek diya jalane mein dam aur qafas thahre qissa-ha-e-parina qaid kar diya us ne mujh ko aab-o-dane mein baam-o-dar 'farasat' ab kya hamein khushi denge zindagi basar kar di gham ke shamiyane mein