aap apna ghubar the hum to yaad the yaadgar the hum to pardagi hum se kyun rakha parda tere hi parda-dar the hum to waqt ki dhup mein tumhaare liye shajar-e-saya-dar the hum to ude jate hain dhul ke manind aandhiyon par sawar the hum to hum ne kyun khud pe eatibar kiya sakht be-e'tibar the hum to sharm hai apni bar bari ki be-sabab bar bar the hum to kyun hamein kar diya gaya majbur khud hi be-ikhtiyar the hum to tum ne kaise bhula diya hum ko tum se hi mustaar the hum to khush na aaya hamein jiye jaana lamhe lamhe pe bar the hum to sah bhi lete hamare tanon ko jaan-e-man jaan-nisar the hum to khud ko dauran-e-haal mein apne be-tarah nagawar the hum to tum ne hum ko bhi kar diya barbaad nadir-e-rozgar the hum to hum ko yaron ne yaad bhi na rakha 'jaun' yaron ke yar the hum to