aap apna ru-e-zeba dekhiye

aap apna ru-e-zeba dekhiye
ya mujhe mahw-e-tamasha dekhiye
shauq ko hangama-ara dekhiye
karobar hasrat-afza dekhiye
rang-e-gulzar-e-tamanna dekhiye
dilkashi-ha-e-tamasha dekhiye
husn hai sau rang mein tahsin-talab
dida-e-hairan se kya kya dekhiye
bazm mein us be-murawwat ki mujhe
dekhna padta hai kya kya dekhiye
hasrat aankhon mein hai lab khamosh hain
shewa-e-arz-e-tamanna dekhiye
hae re zauq-e-tamasha-e-jamal
khud tamasha hun tamasha dekhiye
aap ne phir kar na dekha is taraf
ho gaya khun-e-tamanna dekhiye
uthti hain nazren meri kis shauq se
mujh ko hangam-e-tamasha dekhiye
hasraton ka hae re dil mein hujum
aarzuon ka natija dekhiye
sajde ko betab hoti hain jabin
shokhi-e-naqsh-e-kaf-e-pa dekhiye
main hun us saqi ka diwana jise
dekhiye jab mast-e-sahba dekhiye
khak mein kis din milati hai mujhe
us se milne ki tamanna dekhiye
kahte hain kar lenge us kafir ko ram
hazrat-e-'wahshat' ka dawa dekhiye
This is a great gulzar shayari bewafa. True lovers of ram bhakt shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this hazrat yousuf shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close