aap dard-e-nihan samajhte hain

aap dard-e-nihan samajhte hain
khamushi ki zaban samajhte hain

dar-haqiqat wo ek sahra hai
sab jise gulsitan samajhte hain

lazzat-e-hijr kaisi hoti hai
aashiq-e-nim-jaan samajhte hain

mere aansu mein ghaur se dekho
sab jinhen kahkashan samajhte hain

tere nazdik fard-e-wahid hai
hum jise kul jahan samajhte hain

un se mat kahna dil ki baat kabhi
jo yaqin ko guman samajhte hain

hai wo la-intiha khala-e-basit
hum jise aasman samajhte hain

koi samjhe na samjhe baat meri
asadullah khan samajhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close