aap dekhen na charagh-e-sar-e-mahfil ki tarah aap ka dil bhi na ho jae mere dil ki tarah kabhi fursat nahin dete hain hujum-e-afkar daera gham ka hai ab tauq-e-salasil ki tarah un ki qurbat se bhi kuchh faiz na paya hum ne hum piyase hi rahe bahr ke sahil ki tarah jhilmilati hui bujhne lagi ab sham’-e-hayat zindagi bhi hai charagh-e-sar-e-mahfil ki tarah dost ahbab ne bhi haal na puchha aa kar hum tadapte hi rahe tair-e-bismil ki tarah dar-o-diwar taraste hain sukun ki khatir ab watan bhi hai 'zaki' kucha-e-qatil ki tarah