aap ek bosa nahin dete khuda ke waste log sar de dalte hain aashna ke waste ek ada darkar hai qatil faza ke waste zindagani maut hai ahl-e-wafa ke waste jaan deta hai butan-e-be-wafa ke waste koi samjhae mere dil ko khuda ke waste ek din barbaad hoga jism misl-e-gard-baad khak udana khel baad-e-saba ke waste dagh khate hain teri zulfon ke saudai mudam mushk duniya mein nahin milta dawa ke waste tu jo mere ustukhwan khata nahin diwana hai ai sag-e-jaanan saadat hai huma ke waste khaksari kar safa-e-qalb agar manzur hai khak mein milta hai aaina jila ke waste kuchh jawab-e-nama-o-paigham to deta nahin ai sanam dete hain paighambar khuda ke waste surma manzur-e-nazar kis chashm ko ai 'arsh' hai tautiya hote hain patthar tautiya ke waste