kan mein nala-e-hazar aaya muzhda-e-mausam-e-bahaar aaya kya khayal-e-sharab-khwar aaya barq sa abr be-qarar aaya bagh-e-alam mein tha main nakhl-e-shama jal gaya gul na barg-o-bar aaya dekh shatranj-e-dahr ki raftar ki piyaada gaya sawar aaya mar gae par bhi shauq-e-wasl raha khwab mein bhi khayal-e-yar aaya shisha-e-saat ek ghadi mein bana dil mein jis dam zara ghubar aaya yar jab ghair ke gale se mila yaad kya sadma-e-fishaar aaya pak-tinat wo tha ki parwana shama ban kar sar-e-mazar aaya shab ko ai gul jo ghair se tu hansa mujh ko rona hazar bar aaya bakhsh de ab to ai khuda-e-karim dil-e-mayus umid-war aaya ek nazar 'arsh' sair-e-hasti kar kaun ja kar adam se yar aaya