aap hain be-gunah kya kahna kya safai hai wah kya kahna us se haal-e-tabah kya kahna jo kahe sun ke wah kya kahna hashr mein ye unhen nai sujhi ban gae dad-khwah kya kahna uzr karna sitam ke baad tumhein khub aata hai wah kya kahna tum na roko nigah ko apni hum karen zabt-e-ah kya kahna tujh se achchhe kahan zamane mein wah ai rashk-e-mah kya kahna ghair par lutf-e-khas ka izhaar mujh se tedhi nigah kya kahna ghair se mang kar subut-e-wafa ban gae khud gawah kya kahna dil bhi le kar nahin yaqin-e-wafa hai abhi ishtibah kya kahna balbe chitwan teri maaz-allah uf re tedhi nigah kya kahna un gunon par najat ki ummid 'be-khud'-e-ru-siyah kya kahna