ab ke bazar mein ye turfa tamasha dekha bechne nikle to yusuf ka kharidar na tha dosto rasm-e-mohabbat pe ye kya bait gai shahr-e-yaran mein koi shakhs sar-e-dar na tha aur bhi log the taufiq-e-wafa rakhte the ek main hi to tere gham ka saza-war na tha dil ke kahne pe laga li hai wafa ki tohmat warna jina to mujhe bais-e-azar na tha maslahat-kesh bane baithe hain sab ahl-e-wafa itna ruswa to kabhi ishq ka pindar na tha tujh ko chaha to kisi aur ko chaha na gaya main to fankar tha 'ghaalib' ka taraf-dar na tha