aap hain main hun mohabbat ki Dagar hai samne

aap hain main hun mohabbat ki dagar hai samne
sochiye mat khubsurat sa safar hai samne

aap ki aankhon ka manzar dekh kar lagta hai yun
jis se main raushan hua hun wo qamar hai samne

saya ban ke sath hai wo fasla phir bhi lage
aisi qurbat mein bhi deri ka asar hai samne

kya karun us mod par ye masala phir aa gaya
ek taraf dar hai khuda ka tera ghar hai samne

zabt aisa tha ki patthar ho gaya ye dil mera
chashm-e-tar hun kyunki mera ham-safar hai samne

baat hoti to ye aalam kya se kya hota magar
wo bhi chup hai main bhi chup hun aur nazar hai samne

zor-e-bazu aazmana hai agar ab aap ko
hath mein patthar utha lo mera sar hai samne

jhurriyon mein gum hui bachpan ki sab masumiyat
umr bhar ka dekhiye ab wo safar hai samne

ganw lauta shahar se jab koi bhi apna na tha
bas wahi ek aam ka budha shajar hai samne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close