aap hain main hun mohabbat ki dagar hai samne sochiye mat khubsurat sa safar hai samne aap ki aankhon ka manzar dekh kar lagta hai yun jis se main raushan hua hun wo qamar hai samne saya ban ke sath hai wo fasla phir bhi lage aisi qurbat mein bhi duri ka asar hai samne kya karun us mod par ye masala phir aa gaya ek taraf dar hai khuda ka tera ghar hai samne zabt aisa tha ki patthar ho gaya ye dil mera chashm-e-tar hun kyunki mera ham-safar hai samne baat hoti to ye aalam kya se kya hota magar wo bhi chup hai main bhi chup hun aur nazar hai samne zor-e-bazu aazmana hai agar ab aap ko hath mein patthar utha lo mera sar hai samne jhurriyon mein gum hui bachpan ki sab masumiyat umr bhar ka dekhiye ab wo safar hai samne ganw lauta shahar se jab koi bhi apna na tha bas wahi ek aam ka budha shajar hai samne