aasman mein chand taron ke siwa kuchh bhi nahin

aasman mein chand taron ke siwa kuchh bhi nahin
in ujalon mein rakha kya hai bhala kuchh bhi nahin

main zamin aur aasman ke bich mein maujud hun
mere andar bas khala hai aur bacha kuchh bhi nahin

zindagi bhi dekhiye bas raegan guzri meri
umr to guzri magar mujh ko mila kuchh bhi nahin

kaun hun main kya hun aakhir kya haqiqat hai meri
sochta hun sochne ka faeda kuchh bhi nahin

main ne har andaz se parkha hai meri zist ko
khwahishon ke ek jangal ke siwa kuchh bhi nahin

ghar mein phaili hai teri bhini si khushbu har jagah
bikhre panne hain magar in par likha kuchh bhi nahin

uth rahi hai har taraf jalte shararon ki fasil
zindagi aur maut ka ye masala kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close