aap hi apna safar dushwar-tar main ne kiya kyun malal-e-furqat-e-diwar-o-dar main ne kiya mere qad ko napna hai to zara is par nazar chotiyan unchi thin kitni jin ko sar main ne kiya chal diya manzil ki jaanib karwan mere baghair apne hi shauq-e-safar ko ham-safar main ne kiya manzilen deti na thin pahle mujhe apna suragh phir junun mein manzilon ko rahguzar main ne kiya har qadam kitne hi darwaze khule mere liye jaane kya socha ki khud ko dar-ba-dar main ne kiya lafz bhi jis ahd mein kho baithe apna e'tibar khamushi ko is mein kitna mo'tabar main ne kiya zindagi tartib to deti rahi mujh ko 'nasim' apna shiraaza magar khud muntashar main ne kiya