mohabbaton ka jo sar par wabaal rakkha hai

mohabbaton ka jo sar par wabaal rakkha hai
futur-e-ishq hai aur hum ne pal rakkha hai

ye intikhab jo hum ne kiya hai jine ka
firaq chun liya hai aur visal rakkha hai

kisi bhi roz milo aur udasiyan le lo
hum aise log hain sab pur-malal rakkha hai

khizan ke phul sanjoe kitab mein rakkhe
fasil-e-gham se yun rishta bahaal rakkha hai

wo aakhirash mujhe khwabon mein dekhne aaya
mere gale ka bhi kaisa khayal rakkha hai

ye daur wo hai ki dil mein koi rakhe na rakhe
nazar mein sab ne mujhe bahr-e-haal rakkha hai

main la-jawab hui yun kuchh us ki baaton se
mere sawal pe us ne sawal rakkha hai

ghazal ke sher mere kab ke mar gae hote
samaaton ne unhen dekh-bhaal rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close