aap jab muskurae ghazal ho gai

aap jab muskurae ghazal ho gai
kuchh qarib aur aae ghazal ho gai

tod kar apne gulshan se taza gulab
meri khatir wo lae ghazal ho gai

lab pe fariyaad to dil mein sau iztirab
ashk aankhon mein aae ghazal ho gai

wae mahrumiyan hae majburiyan
dard-e-dil mein dabae ghazal ho gai

main ne puchha mohabbat unhen mujh se hai
chup rahe muskurae ghazal ho gai

jab bhi angdai tauba-shikan koi le
ek fitna uthae ghazal ho gai

dil mein 'khushtar' jo arman the soe hue
khub-ru ek jagae ghazal ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close