ye jo har harf mere lafz ka uljha hua hai aise lagta hai kahin khwab mein socha hua hai kya ye mumkin hai kisi roz use chum sakun mere mathe pe tera nam jo likkha hua hai pis gae dard ki chakki ki silon mein mere khwab aankh mein nind nahin jism bhi tuta hua hai aaina tod diya hai meri wahshat ne magar mere kamre mein koi mujh sa hi bikhra hua hai ek din us ko utarunga waraq par 'faez' ek manzar jo meri aankh mein atka hua hai