aap jab se qarib aa baiThe

aap jab se qarib aa baithe
ranj-o-gham dur hum se ja baithe

fasle ka kiya tayyun khud
fasla jaane kyon bhula baithe

badh gaya jab junun wahshat mein
sakh ulfat ki hum ganwa baithe

raushni ki talash mein khud hi
sham-e-hasti ko hum bujha baithe

chand ko chhune ki tamanna mein
apni parwaz hum bhula baithe

khoe khoe se jab rahe tanha
mahfil-e-ranj-o-gham saja baithe

jab talluq nahin raha 'monis'
naqsh-e-mazi ko hum mita baithe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close