aap jo dard-e-dil ki dawa de gae mujh ko jine ka ek muddaa de gae main ne puchha mera aasra kaun hai likh ke kaghaz pe lafz-e-khuda de gae main jiyun ta-qayamat qayamat hai ye wo dua mein nihan baddua de gae para-para dikhun is liye wo mujhe ek tuta hua aaina de gae hijr mein main jiyun hijr se main marun mere munsif mera faisla de gae