wo sitam karte gae aur main sitam sahti gai kaghazi kashti thi main barsat mein bahti gai chahe koi mane ya mane nahin meri dalil baat sach thi is liye main chikh kar kahti gai shayad un ko sharm aa jae to wo ruswa na hon bas isi ummid par main aaj tak rahti gai mera rishta tha samundar se to main rukti kahan mauj-e-dariya ki tarah bahti gai bahti gai 'naz' is ummid par shayad ki hosh aae unhen be-asar har baat thi un par magar kahti gai