aap ka intizar hai ab tak dil bahut be-qarar hai ab tak wada kar ke bhi wo nahin aae wade ka eatibar hai ab tak phir na aaya hamare baad koi kya wahi rahguzar hai ab tak aashiyan jal ke muddaten guzrin barq kyon shoala-bar hai ab tak fasl-e-gul aai hai gulistan mein kyon faza sogwar hai ab tak jaane wale chale gae lekin khali dil ka dayar hai ab tak jis ne hum ko bhula diya dil se ai 'zamir' us se pyar hai ab tak