gham mein Dhalti jati hai aaj har KHushi apni

gham mein dhalti jati hai aaj har khushi apni
zindagi pe roti hai aah zindagi apni

jis ne kar diya ruswa jis ne kar diya barbaad
us se kya nibhe ai dil rasm-e-dosti apni

jab qadam uthate hain dur hoti hai manzil
le ke phir kahan jae hum ko be-khudi apni

aatish-e-gham-e-dauran shoala-e-gham-e-jaanan
mere dil se lete hain tab-e-zindagi apni

lo khizan ke panje mein jate jate har ghuncha
aah surkh honton ki de gaya hansi apni

koi dard-e-dil mera aaj tak nahin samjha
ai 'zamir' kaam aati kash shaeri apni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close