aap ka jis raste mein naqsh-e-pa mil jaega

aap ka jis raste mein naqsh-e-pa mil jaega
talib-e-manzil ko manzil ka pata mil jaega

jaante ho tum se mil kar kis ko kya mil jaega
zindagi mil jaegi aur muddaa mil jaega

aap ki dariya-dili par naz farmaenge hum
jab hamein apni mohabbat ka sila mil jaega

mushkilen hasti ki apni kam se kam ho jaengi
doston jis din hamein apna pata mil jaega

shakh-e-gul kuchh is tarah katri gai hain dosto
agle mausam mein koi patta hara mil jaega

us ko pane ke liye khud ko lagao dosto
dhundne se aap ko be-shak khuda mil jaega

aap ko wo bhul jaenge zamane ki tarah
jab unhen 'mahmud' koi dusra mil jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close