pasban-e-shahr chup hai waqt kaisa aa gaya

pasban-e-shahr chup hai waqt kaisa aa gaya
tod kar diwar-o-dar basti mein sahra aa gaya

dopahar ki dhup aur sahra koi kya sath de
dar ke jab khud mere andar mera saya aa gaya

aaine mein baal ek chamka mere sar ka safed
ud ke bahar sahn mein ek zard patta aa gaya

ibn-e-adam ka lahu sab ki bujha deta hai pyas
jab kabhi pyasa hua basti mein dariya aa gaya

hai wahi shair meri nazron mein 'kazim' kaamyab
lafz ki talwar par jis ko ki chalna aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close