aap ke dar se kidhar jaenge khak ho jaenge mar jaenge mat nigahon se girana hum ko tut jaenge bikhar jaenge ya pighal jaenge garmi se aah ya to sardi se thithur jaenge moti moti si dikha kar aankhen wo samajhte hain ki dar jaenge ishq ne aur bigada yaro warna samjhe the sudhar jaenge mere aaza ka kya hoga allah un ke gesu to sanwar jaenge dagh dil ke dikha to dun lekin dekh kar naznin dar jaenge hae jannat mein kya hoga apna dil hamare wahan bhar jaenge guzri jab hum pe qayamat 'hawi' khair ye din bhi guzar jaenge