zulf andher karne wali hai tum ne nagan bala ki pali hai qalamen rukhsar-e-yar par dekho surkh hai phul sabz dali hai ghair par lutf hai sitam hum par un ki jo baat hai nirali hai wah kya munh se phul jhadte hain kitni pyari tumhaari gali hai murgh-e-dil bhi hai sath chidiya ke jal angiya ki un ki jali hai shab-e-furqat ko dekh bakht-e-siyah koi bhi raat itni kali hai kyun qayamat ki chaal chalti ho is mein aashiq ki paemali hai dahan-e-yar ka pata na laga baat kahne ko ek bana li hai naf-e-mashuq saf moti ki nannhi-munni si ek pyali hai kyunkar un ko dun mehr-o-mah se misal jin ko dawa-e-be-misali hai rang lai gilauriyan kah kar lal honthon pe aur lali hai dil tasawwur mein mahw rahta hai aashiq-e-shahid-e-khayali hai kyun hansae na mujh se rind ko bang dukht-e-raz ki bahan hai sali hai dam ghanimat hai us masiha ka ab tabibon se shahr khali hai khak udai hai un ke kuche ki hum ne sar par zamin utha li hai dil mera le ke arsh par hai dimagh aur hi ab mizaj-e-ali hai kyun buton ki hamein mohabbat di kya musibat khuda ne dali hai wan kabhi ghair se kabhi hum hain roz mauqufi aur bahaali hai de ke ek bosa-e-lab-e-jaan-bakhsh tan-e-be-jaan mein jaan dali hai kya bala gori gori rangat par zulf kali hai aankh kali hai haal mein shairi ka hai ye dhang apna jo sher hai wo haali hai dekho mujh par bahut sitam na karo pas ai jaan kotawali hai hum se inkar wasl ka hai abas hogi jo baat hone wali hai un ke kuche mein khak ho jaen hum ne ek rah ye nikali hai yar pahlu mein hai na jam-e-sharab ye bhi khali hai wo bhi khali hai hai sitam ye anile-pan ka banao kan mein ek ek baali hai us ke mazhab ka eatibar hai kya 'mehr' ek rind-e-la-ubaali hai