aap ke husn-e-mujassam ka asar dekhenge

aap ke husn-e-mujassam ka asar dekhenge
yani barsat mein jalta hua ghar dekhenge

tut kar apne bikharne ka amal kya hoga
be-naqab aap ko bas ek nazar dekhenge

apne rukhsar pe dhalke hue aansu mat ponchh
aariz-e-gul pe zara barq-o-sharar dekhenge

wo agar ghair ke pahlu mein chala jaega
hum bhi phir chaak-e-gareban ka asar dekhenge

aas ke dip bujhe jate hain ab to aa ja
aur kab tak ye teri rahguzar dekhenge

barf suraj ki hatheli pe saja kar 'zahid'
zindagani ki haqiqat ka asar dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close