hamare hath mein patthar tumhaare khanjar hai tumhi batao ki taqat kahan barabar hai ye baat waqt se pahle hi soch lena thi ye shohraton ka mahal paniyon ke upar hai sawal us ne jo shaistagi ke sath kiya mera jawab bhi sanjidgi ka mazhar hai tawe pe jal uthi roti to man ne tok diya tera khayal to ruswaiyon ka mazhar hai baghawaton pe jo aamada hum nahin hote isi liye to ye zulm-o-sitam muqaddar hai hatheliyon mein kisi ki barasti bunden hain hamare samne chhat par ajib manzar hai