aap ki hasti kya hasti hai sarmasti hi sarmasti hai jab hum aapas mein milte hain duniya aawazen kasti hai mahngai ke yug mein socho man ki mamta kyon sasti hai basti basana khel hai kya baste baste hi basti hai yaadon ke daftar mein 'asi' guzre lamhon ki nasti hai